zuloowho.blogg.se

Hashr mein rang layega
Hashr mein rang layega





~Umar bhar tanhai ka hissa rahy~.,~Ye na poch ke kessy zinda rahy~.,~Uss say keh do ke har ik sa na mila karay~.,~Woh aghar mera hai tu sirf mera rahy~.,

hashr mein rang layega

~Bay aietbaar sa shaks tha so waar kar gaya~.,~Lekin mere shaoor ko bedaar kar gaya~.,~Kuch main ne ishtiyaal main shikway ghilay kiye~.,~Kuch woh shikayatien sar-e-bazaar kar gaya~.,~Pehly woh meri zaat ki tameer main raha~.,~Phir mujh ko apny haath say mismaar kar gaya~.,~Woh aa mila tha tu faaslay kat tay chaly gaye~.,~Bichraa tu rasty mery be dushwaar kar gaya~., ~Aaj toot kar usski yaad aayi tu ehsaas hua Sagar~.,~Uttar jayien jo loogh dil main woh bhulaye nahi jaaty~., ~Ranj day kar malaal karty ho~.,~Tum be kia kamaal karty ho~.,~Dekh kar pooch liya haal mera~.,~Chalo kuch tu khiyal karty ho~.,~Shehar-e-dil main ye udaasiyan kessien~.,~Ye be mujh say sawal karty ho~.,~Marna chahien tu mar nahi sakty~.,~Tum be jeena muhaal karty ho~.,~Abb kiss kiss ki misaal don tum ko~.,~Tum har sitam bay misaal karty ho~., ~Sub ki khushi ki chah karty hain~.,~Bus hum itna sa gunah karty hain~.,~Aaj phir unn ke intizar main baithay hain~.,~Dekhna hai kab woh humien yaad karty hain~., ~Tumhien yaad na karoon tu ulajh jata hoon sansoon say Faraz~.,~Samjh nahi aata zindagi sanson say hai yaan teri yaad say~., ~Biknay waly aur hain ja kar khareed lo aye ajnabi~.,~Hum loogh qeemat say nahi qismat say mila karty hain~.,

hashr mein rang layega

~Kabhi tu milay pehli mulaqaat ki tarhan~.,~Bighra hi rehta hai kyun halaat ki tarhan~.,~Woh ik dost jo lagy jaan say pyaara~.,~Mujhy waqt tu deta hai maghar khairaat ki tarhan~., ~Kabhi jazbon kabhi khawaboon ki tijarrat kar ke~.,~Dil nay dukh dard kamaaye hain muhabbat kar ke~.,~Tum jab aao gay tu mehfooz milien gay tum ko~.,~Hum ne dafnaaye hain kuch khawaab amanat kar ke~.,~Ik zara bhool hui aur khoo baithay~.,~Hum nay paya tha jissay barson ibadat kar ke~., ~Subha ko baagh main shabnam parti hai faqat iss liye~.,~Ke patta patta kary zikar-e-Khuda ba wuzu ho kar~., ~Bewafai say pareshan be ho jaaty hain~.,~Narm jhonkay kabbi toufan be ho jaaty hain~.,~Humara mehboob jo badla tu taajub kessa~.,~Loogh kafir say musalmaan be tu ho jaaty hain~.,







Hashr mein rang layega